kaali Raat

kaaliraat

Ek lambi kaali raat pe dhundh ki chaadar odhe hai ye aasman,

chaaro or chuppi thame hai jahaan.

iss raat ki god m chubhti fir b sukoon pauchaati ye thand,

mere chaaro or faili hui hai.

Mere mann me jalte koyle se sawalon ko,

khud me samet lena chahti hai maano.

Gehri khamoshi hai har taraf,

Naa koi shor, naa chehal-pehal.

pr iss sannate me b ek aabaz sunti hu mai

kuch jaani pechani fir b ajnabi

kuch ruthti-manati, kuch jhoota dilasa baandhti

kuch samjhati, kuch shikayat krti ,kosti

barso purani fir bhi ekdum nayi.

Meri hi to aabaz hai ye

jo mere hi umeedon ki uchayion se takraati,

mere iss khokle mann me gunj rhi h.

kha kho si jaati hai ye subh ki shor me?

Najre uthane pe sirf safed sileti saa kohra dikhta hai,

jo raat ke andheron m puri tarah mil chuka hai.

Jaise kisi k dil p baithe kaalepan se,

jaa mili ho koi jhooti ujli umeed.

jaise kisi mayoosh chehre p lga,

jhooti muskaano ka mukhauta.

Iss kohre ki aagosh me lipti khud pe itraati,

iss raat ko dekh hass padti hu mai.

pagal isse kya pta,

aankhe bnd kr lene se andhera khtm nhi ho jaata

Dheere dheere ye raat aur gehri hote jaa rhi hai

Aur iske saath utna hi gehra hote jaa rha hai,

Mere andar ke jajbaaton ka uthta sailaab,

Iss raat ki chuppi uss tufan k pehle k jaisi hai,

jiske jaane ke baad kuch b nhi bachta.

Naa jaane kitne hi garhon ko ujaarti, kitni hi jaane leti

sab tehas-nehas kar jaati hai.

Thik waisa hi sach se roobaroo karata,

ek tufaan mere andr b uthta hai.

Jo meri hi banayi kalpanic duniaya ko ujaarta chla jaata h.

Aur mai ek raat fir khud se haari

iss khamoshi ki baahon m khud ko saaupti,

Aankhe moond leti hoon.

πŸ’•πŸŒ·

13 thoughts on “kaali Raat

Leave a reply to Lavanya Cancel reply